"........Bewafa to wo nahi hai fir kyu khafa sa hai
Allah qayamat hai unka ruthna, aur qaatil unki ada hai
Marziyaan is dil ki muqammal kar na sake hum
Bichadke jiyein do dil, yehi rab ki raza hai
Kya hua jo raaton mei ashq bahate rahe hum
Unhe bhi kab sukoon tha, unka bhi zakhm hara hai
Ab jo bichde hain kabhi mil na sakenge hum
Yehi manzoor-e-muqaddar hai, yehi raza-e-khuda hai.........."
~Veena

No comments:
Post a Comment