Monday, October 19, 2015

Afsana
















Duniya ki hi raah par aakhir, rafta-rafta aana hoga
Dard bhi dega saath kaha tak, bedil hi ban jana hoga

Hairat kya hai humse badkar, kaun bhala begana hoga
Khud apne ko bhul chuke hain, tumne kya pehchana hoga

Beet gaya jo yaad mei teri, ik-ik lamhe ka hai dhyaan
Mohabbat mei ji haarna kaisa, jo kho gaya sab paana hoga

Hum to fasaana kehkar, apne dil ka bojh utaar chale
Tum jo kahoge apne dil se, wo kaisa afsaana hoga

3 comments: