Thursday, August 4, 2011

Qataar

Main patjhad ki dhoop ka aaena, ki main ek hoke hazaar hun 
kahin aansuon ka hun qaafila, kahin jugnuon ki qataar hun.. 

koi taara tootke gir gaya, koi chaand chat se utar gaya 
kisi aasmaan ki chaal se, jo bikhar gaya wahi haar hun.. 

wahi sukhe-sukhe se ped hain, wahi ujadi-ujadi si tehniyaan
koi phool jispe khila nahi, main gamon ki aisi bahar hun.. 

Mujhe kyun bulate hain pyaar se, ye chehkte panchi munder ke
Main khamoshi ka dard hun, main udaas chaand ka pyaar hun.. 

Main wo sher hun jise aaj tak, na kaha gaya na suna gaya
jise ungliyon ne chua nahi wahi badnaseeb 'sitar' hun......



No comments:

Post a Comment