Monday, August 30, 2010

Aasmaan

Jahan talak bhi khula aasman baaki hai,
Mujhe pata hai meri udaan baaki hai


Wo jaanta hai wo mita nahi sakta,
Vo faasla jo abhi darmiyan baaki hai

Naya safar main shuru karu bhi to kaise,
Abhi to pehle safar ki thakan baaki hai